eid ki KHaridari

musalman qarz le kar eid ka saman kharidenge
jo dana hain wo bechenge jo hain nadan kharidenge

jo sayyan shauq se khaen wo siwayyan kharidenge
murkkab sud ka sauda ba-naqd-e-jaan kharidenge

musalmanon ke sar par jab mah-e-shawwal aata hai
to un ki iqtisadiyat mein bhaunchaal aata hai

baham dast-o-gareban sales-man aur un ke gahak hain
wo ghul barpa hai jaise naghma-zan chauhad mein meindak hain

mizajan roza-dar-e-sham barud aur gandhak hain
aur un mein nazm aur zabt aur rawa-dari yahan tak hain

ki shiddat bhuk ki aur pyas ki aise mitate hain
ba-zoam-e-roza abna-e-watan ko kat khate hain

jo mujh aise hain rind un ko bhi zoam-e-parsai hai
aur is mazmun ki ek dawat-e-iftar aai hai

ki ek chaalis-sala tifl ki roza-kushai hai
farishte is pe hairan dam-ba-khud sari khudai hai

khudawand-e-do-alam se wo ye bewpar karte hain
jo rakkha hi nahin roza use iftar karte hain

miyan biwi chale bazar ko bahr-e-kharidari
mithai phal siwayyan itr jute gosht tarkari

jo shai biwi ne li wo dosh par shauhar ke de mari
wo be-chaara to khachchar hai barae bar-bardari

ba-zor-e-qarz dukanon pe itna fazl-e-bari hai
ki is ghamsan mein insan par insan tari hai

liya biwi ne shauhar ke liye juta jo arzan hai
wo amriki madad ki tarah us ke sar pe ehsan hai

ki is se faeda pahunchega us ko jis ki dukan hai
aur us shauhar ka juta khud usi ke sar pe raqsan hai

ye surat dekh kar kahte hain akasr dil mein bin-byahe
dil o din naqd la saqi se gar sauda kiya chahe

jo silne ko diye kapde wo hain sab habs-e-beja mein
ki darzi chhup gaya jab atlas-o-kamkhwab-o-diba mein

to readymade kapdon ki dukanen jhankta tha main
falak par qimaten latki hui thin shakh-e-tuba mein

mubarak mah ke andar hamin se nafa-khori hai
nahin hota hai baatil jis se roza ye wo chori hai

ye siwayyan jo bal khati hui meade mein jaengi
siyasi guththiyon ko aur uljhana sikhaengi

hamari aane wali nasl ke leader banaengi
jo leader ban chuke hain ebdo un ko karaengi

qad o gesu mein qais-o-kohkan ki aazmaish hai
jahan hum hain wahan dar-o-rasan ki aazmaish hai

mahine bhar ke rozon baad haq ne din ye dikhlaya
alal-ailan khaya doston ke sath jo paya

ye pahle dar tha hum ko jhank kar dekhe na ham-saya
ba-juz khauf-e-khuda din mein ba-zahir kuchh na tha khaya

hasinon mah-washon ko ab sar-e-bazar dekhenge
gae wo din ki kahte the pas-az-iftar dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close