raat guzarne wali hai

deta hai khabar anjam ki saqi raat guzarne wali hai
aur din ka hai paigham ki saqi raat guzarne wali hai

main teri har kal jaanta hun kya kal kal kal kal karta hai
ab chhod ye kaf aur lam ki saqi raat guzarne wali hai

adwance mein paise de dena tauhin-e-rindi o masti hai
bil bhej ke lena dam ki saqi raat guzarne wali hai

gar ek hi botal baqi hai aur pine wale itne hain
kar botal ko nilam ki saqi raat guzarne wali hai

paison ki to bilkul fikr na kar tankhwah mili aur main ne diye
la ab to pila ek jam ki saqi raat guzarne wali hai

jo bhang pilai thi tu ne us bhang ka nashsha khul na saka
kuchh misri aur baadam ki saqi raat guzarne wali hai

sunta hun ki baadal uthe hain aur ole padne wale hain
ab jald bula hajjam ki saqi raat guzarne wali hai

rindon ko gharaz hai pine se whiskey na sahi tharra hi sahi
chal jaega yun bhi kaam ki saqi raat guzarne wali hai

tu thodi thodi sab ko pila warna tere sar aa jaega
kanjusi ka ilzam ki saqi raat guzarne wali hai

zahid ko pila waiz ko pila mulla ko pila mufti ko pila
sab likh le hamare nam ki saqi raat guzarne wali hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close