har jalwa jahangir tha jis waqt jawan thi kahte hain jise nur-jahan nur-e-jahan thi tha hur ka tukda but-e-tannaz ka mukhda ek shama thi fanus mein jo nur-fishan thi andaz mein shokhi mein karishme mein ada mein talwar thi barchhi thi katari thi sinan thi rukhsar-e-jahan-tab ki padti thin shuaen ya husn ke dariya se koi mauj rawan thi bijli thi chamakti hui daman-e-shafaq mein ya mauj-e-tabassum thi labon mein jo nihan thi gulzar-e-maani ki chahakti hui bulbul shair thi sukhan-sanj thi ejaz-e-bayan thi betab hua jata hai dil zikr se us ke kya puchhte ho kaun thi wo aur kahan thi duniya-e-tadabbur mein thi yakta-e-zamana hath us ke the aur un mein hukumat ki inan thi dastur-e-adalat ke liye us ka qalam tha farman-e-reaya ke liye us ki zaban thi wo sham-e-shab-afroz thi parwana jahangir ye baat bhi donon ki mohabbat se ayan thi lahore mein dekha use madfun tah-e-marqad gard-e-kaf-e-pa jis ki kabhi kahkashan thi paiwand-e-zamin ho gae ab kaun batae 'kaifi' ye jahangir tha wo nur-jahan thi