aarzu anginat pedon ka jangal hai aur is jangal ke ek ped ki ek mamuli si shakh par wo parinda rahta hai jis ki talash mein lakhon surma mare mare phirte hain aur parinde ko nahin pate kyunki ye parinda sirf khamoshi ki aawaz mein bolta hai aur sirf andhere mein nazar aata hai lekin ped ke tane mein rahne wala rupahla sanp aksar parinde tak pahunch jata hai kyunki ye sanp na dekh sakta hai aur na sun sakta hai