main bhi anjaan tha tum bhi anjaan the log hairan the ishq aasan tha ishq aasan tha us ki uftad mushkil na thi is qadar abr ki chhanw mein yun chale ja rahe the nae ham-safar us ke aage magar the ajab silsile phir kade kos the phir kathin thi dagar dur tak be-karan reg-e-sahra thi phaili hui aisi aandhi chali main bhi tha be-aman tum bhi the dar-ba-dar log the be-khabar ishq hairan tha main kahin kho gaya tum kahin ja base phul khilte rahe log milte rahe par na mil pae hum ai mere ham-safar phir na kahna kabhi ishq aasan tha ishq aasan hai waqt apne kiye par pasheman tha kab pasheman hai han wo apna khuda jo nigahban tha wo nigahban hai