main tha aawara-o-barjasta-khiram auraq-e-bandagi us ki panah nama-e-ishq tha rishton ka jawaz barq-rau mein bhi tha kuchh wo bhi raha ishq-e-ehsas-e-junun ke aasar kuchh ajab tarah bane naqsh-o-nigar fart-e-jazbaat se is darja rahe hum larzan tisri quwwat-e-waswas kahan se aai aur phir tut gaya larza-bar-andam talluq ka pul sabz armanon pe wo os padi mat puchho ab to wo sahn-e-takhayyul bhi hai muddat se udas gahe gahe kisi pahlu-e-falak mein jaanan kuchh chaman-zar mahak uthte hain aur aati hai sada-e-bulbul ishq wo os ka qatra hai jis ke padte hi tut jati hai surahi gul ki