zamin ka khub-surat sudaul jism zakhmon se chur dard se karah raha hai zamini khudaon ki sang-dili dekh kar aasmanon par maujud dewta bhi shashdar hain ki unhon ne raaz-e-hayat chhupaya tha maut ke saudagar nahin bane the lashon ke dher par apne khwabon ke shish-mahal nahin ta'mir kiye the zeus ne to sirf aag chhupai thi lekin mohazzab duniya ke zamini aaqa unhon ne zamin ko maut ke capsule mein tabdil kar diya hamari jannat mein dudh aur shahd nahin lashon ki nadiyan bahti hain yahan zindagi nahin maut ko dawam hai yahan yazdan nahin ahraman ka raj hai prometheus kya isi din ke liye tum ne aag churai thi aur raaz-e-hayat fash karne ki saza kati thi prometheus zamin ke phephde oxygen kashid karte karte thak chuke hain us ki nabz dubti ja rahi hai kurra-e-arz phir zamharir banne ki taraf gamzan hai kahin se thodi si aag la do ek bar phir zeus ko mat de do