ye nim-khwab ghas par udas udas naqsh-e-pa kuchal raha hai shabnami libas ki hayat ko wo motiyon ki barishen faza mein jazb ho gain jo khak-dan-e-tira par baras rahi thin raat ko ye rahrawan-e-zindagi khabar nahin kahan gae wo kaun sa jahan hai azal nahin abad nahin daraaz se daraaz-tar hain halqa-ha-e-roz-o-shab ye kis maqam par hun main ki bandishon ki had nahin hai markaz-e-nigah par chatan si khadi hui udhar chatan se pare wasia-tar hai tirgi use phalang bhi gaya to is taraf khabar nahin adam kharab-tar mile na maut ho na zindagi hazar bar chahta hun bandishon ko tod dun magar ye aahani rasan ye halqa-ha-e-bandagi lipat gae hain panw se lahu mein jazb ho gae main naqsh-pa-e-umr hun fareb-khurda-e-khushi koi naya ufuq nahin jahan nazar na aa saken ye zard zard suraten ye haddiyon ke jod se hawa ke bazuon mein kash itni tab aa sake dikha saken wo ahd-e-nau hi zindagi ke mod se