wo sham jab sadken gul-e-surkh se bhari huin thin aiwan-e-insaf par andhera utar raha tha main ne gardan aur kanon ko coat ke lambe collar mein chhupa liya taki baqi-manda lahu ki gardish chehre tak na aa sake ababilen apne maskanon se diwana-war nikal aain aur gumbadon mein bolne wale kabutaron ne chup-chap apni chonchen khamosh talab mein dubo din wo sham jab khidkiyon mein sab chehre ek jaise nazar aane lagen