wo jis ka intizar tha shafaq ko baadalon ko rahguzar ko aabshaar ko khizan ki pattiyon ko chandni ko dhup ko bahaar ko wo jis ki aarzu thi saaton ko khamushi ko zehn ko khayal ko tasawwur-e-muhaal ko khanakti pyaliyon ko kursiyon ko jam-e-mai ko sham-e-na-tamam ko dopahar ko sham ko wo jis ki aahaten samaaton ke kunj mein nihan thin jis ka aks jalwa-rez tha basaraton ki jhil mein wo kya faqat saba ka surmagin khiram tha ki shakh-e-gul ka saya-e-khafif tha ki mauj-e-ab par kiran ka irtiash tha jo ek pal mein samne se yun guzar gaya ki wo sabhi jo muntazir the aankh milte rah gae magar wo is tarah guzar gaya ki yak-ba-yak wo intizar ki bisat hi ulat gai wo khel khatm ho gaya aur us ke baad aasman se zamin zamin se aasman tak khala khala khala khala