sard yakh-basta mausamon ki nawed jaane kis kis ke nam aai thi kohar-alud thi faza aisi subh kuchh unghti hui jagi us ki aaghosh se humakta hua ek suraj qulanchen bharta hua aasman-e-fusun ke maidan mein shokh kirnon ko chhedta nikla ho gaya khitta-e-ufuq gul-rang main tha mahbus apne kamre mein dafatan dekhta hun nur-e-karim hai khada yaad ke dariche par chand masum sa sawal liye jhankta hai idhar udhar shashdar dusra manzar yaad hai february mahina tha nau shagufta nai bahaar ke din facebook par mile the jab donon us ne ki iltija rifaqat ki main ne hans kar use qubul kiya garm shoala tha us ko phul kiya us ne dil ka salam bheja tha main ne jaan ka payam bheja tha