tah-ba-tah dil ki kudurat meri aankhon mein umand aai to kuchh chaara na tha chaara-gar ki man li aur main ne gard-alud aankhon ko lahu se dho liya main ne gard-alud aankhon ko lahu se dho liya aur ab har shakl-o-surat aalam-e-maujud ki har ek shai meri aankhon ke lahu se is tarah ham-rang hai khurshid ka kundan lahu mahtab ki chandi lahu subhon ka hansna bhi lahu raaton ka rona bhi lahu har shajar minar-e-khun har phul khun-dida hai har nazar ek tar-e-khun har aks khun-baalida hai mauj-e-khun jab tak rawan rahti hai us ka surkh rang jazba-e-shauq-e-shahadat dard, ghaiz o gham ka rang aur tham jae to kajla kar faqat nafrat ka shab maut ka har ek rang ke matam ka rang chaara-gar aisa na hone de kahin se la koi sailab-e-ashk aab-e-wazu jis mein dhul jaen to shayad dhul sake meri aankhon meri gard-alud aankhon ka lahu