kya naghma-ha-e-kaif ka dariya baha gaya khud husn ko jahan mein hasin-tar bana gaya ai shair-e-shabab-o-naww-sanj-e-zindagi misl-e-bahaar aa ke tu aalam pe chha gaya tu husn ki nigah tha aur ishq ki zaban giton mein rang-o-rup ki duniya basa gaya ranginiyan bahaar ki har su bikhar gai be-kaifi-e-khizan ka kabhi rang chha gaya tute hue dilon ki sada lab pe aa gai naghma kabhi tu kaif-o-masarrat ka ga gaya insan ke gham mein sina-e-qudrat bhi shaq hua man ki tarah se maut ko bhi pyar aa gaya afsurda zindagi ko mili tujh se tazgi jo dil tadap raha tha wo aaram pa gaya tu kar ke sar-buland watan ke waqar ko dil mein har ek fard-e-watan ke sama gaya hindostan ko de ke do-alam ki azmaten tu be-nawa faqir sa gata chala gaya