rahat tere hi dars se pata hai kul-jahan sar teri azmaton pe jhukata hai aasman gunja yahin se amn-o-aman ka payam hai is waste jahan mein tera ehtiram hai jo teri mahfilon se uthi wo sada hai ye duniya bane bahisht tera muddaa hai ye fitne ka shar ka bughz-o-hasad ka ghanim hai tu bhi azim qaum bhi teri azim hai aalam ba-sad-khulus jhukae na kyon jabin tahzib-o-ilm-o-fan ka hai gahwara-e-hasin shoalon ko sard karne ke saman kiye hue sab ahl-e-dil hain ek hi jazba liye hue paigham hai ki aatish-e-nafrat mein mat jalo zulmat mein shama-e-uns farozan kiye chalo har-dam baqa-e-dahr pe chashm-e-bashar rahe mazi-o-haal-o-farda pe gahri nazar rahe dil dil se multafit ho mohabbat do-chand ho insan ka waqar jahan mein buland ho dar dar ki khak koi kahin chhanta na ho ghurbat hai chiz kya ye koi jaanta na ho chehre pe rang aae ye ghuncha khila rahe gulshan hayat-e-insan ka phula phula rahe aagah ma-o-tu se kisi ki zaban na ho tafriq-e-rang-o-nasl ka nam-o-nishan na ho duniya se dur jang-o-jadal ka dhuan rahe ghar mein gali mein ganw mein amn-o-aman rahe raushan 'jamal' dahr mein bhaarat ka nam hai har lab pe aaj mere watan ka payam hai