hindu ko ram-ram musalman ko salam sab ke liye hai mera mohabbat-bhara payam pesha hai mera chaak-e-jigar ki rafu-gari ukhde hue dilon ki marammat hai mera kaam bandon se bad-suluki hai meri nazar mein jurm nafrat kisi se meri shariat mein hai haram nisbat hai mai-kade se ziyaada bhale mujhe dair-o-haram ka bhi hai barabar hi ehtiram ulfat buton se aur aqidat khuda se hai hai darmiyan-e-kafir-o-momin mera maqam khwahish nahin hai qurbat-e-masnad ki kuchh mujhe jamhur ki hai sirf amanat mera kalam sunta hun ghaur se main nasihat sabhi ki par mera zamir hi hai mera rahbar-o-imam zor-e-sitam ke aage jhukaun na sar kabhi aae jo pesh pyar se us ka hun main ghulam