khun patthar pe sarak aaya gahra nila rang hawa mein dub gaya jal-kanya ke jism pe kale sanp ka saya lahraya dariya dariya zahr chadha gili ret pe dhup ne apna nam likha mutthi mein machhli ka aansu sukh gaya ghodon ki tapon se kamra gunj utha khargoshon ki aankhon se suraj nikle phir dariya ki naf mein kashti dub gai kaghaz ke sahra mein pani mat dhundo ahram ke darwaze kab khulte hain hanger pe kapde ki lash latakti hai parbat parbat nangi ruh bhatakti hai mujh se ye puchho logo main kya hun zang-aluda shahr pe thukne aaya hun