abhi kuchh din mujhe is shahr mein aawara rahna hai ki ab tak dil ko us basti ki shamen yaad aati hain jahan bele ki jhadi mein kisi nagin ki banbi thi abhi tak dil ye kahta hai ki us basti mein phir jao bharo daman ko phulon se badan nagin se daswao jahan ab hun wahan bela hai na nagin ki banbi hai isi karan ye zalim dil mujhe uljhae rakhta hai isi karan mujhe is shahr mein aawara rahna hai magar jis din ye rishta yaad ka tuta to phir us din na dil hoga na ye ehsas hi ki dil bhi rakhte the ki meri zat mein jo nag hai wo mujh ko das lega abhi kuchh din mujhe is shahr mein aawara rahna hai