yaum-e-jamhur tere aane par nach uthe hain masarraton ke payam in ujalon mein zulmaten to nahin sochte hain mere watan ke awam jagmagata hai waqt ka chehra be-bason par jahan hansta hai apne rukh par nahin hai mauja-e-nur jhonpadi kis tarah ho rashk-e-mahal jam-e-jamhuriyat to pite hain hasraten dam jo tod den ghut kar lekin is mein nahin hai kaif-o-surur zindagi kyun na ho shikar-e-ajal apne hasrat-bhare muqaddar ka is tarah hum mazaq udate hain khud hi rote hain waqt ka rona aur phir khud hi muskuraate hain