ret ka musafir tha raat ki haweli mein sirf raat bhar thahra jog le liya us ne ret ki hatheli se phul ret ke chun kar khwab ki saheli se rog le liya us ne sirf ek lamhe ki mukhtasar kahani ko ret ke musafir ne yun amar bana dala kasa-e-mohabbat mein le ke bhik lafzon ki aarzu ki aankhon mein ashk-e-tar bana dala kaun ab tujhe jaane kaun yaad rakkhega waqt ki udanon ke kaun aasmanon mein tu ne rog pala tha kis tarah guzara tha ek pal ke jiwan ko ajnabi makanon mein aaj apne shair ko ye hamein batana hai tu jo aag mein jal kar gulsitan banata hai harf harf chun kar motiyon ki ladiyon se subh ke sitaron tak sehn-e-dil sajata hai jo bhi tu ne likkha hai sirf teri punji hai sirf ek lamha hai sirf ek saat hai waqt ke samundar mein sirf ek yahi lamha be-karan alamat hai jazb-e-dil ki chahat hai