phail kar phir shab-e-tarik hui bahr-e-siyah qatra qatra lab-e-tanhai se tapke ehsas aur palkon ki salibon pe wo guzre hue din jaise khandaron ki fasilon pe tanga ho itihas dafn hai rakh ke ambar tale azm ki lash justuju us ki kare aaj kise fursat hai raushni mang na suraj se na sitaron se tera o tar makanon mein badi rahat hai ab to alfaz ke chehron ki kharashen padh kar waqt ko tal diya jae gadagar ki tarah warna wo lams jo shabnam se subuk-tar tha kabhi aaj phir sine pe gir jaega patthar ki tarah