ye kis paikar ki rangini simat kar dil mein aati hai meri be-kaif tanhai ko yun rangin banati hai ye kis ki jumbish-e-mizhgan raubab-e-dil ko chhuti hai ye kis ke pairahan ki sarsarahat gungunati hai meri aankhon mein kis ki shokhi-e-lab ka tasawwur hai ki jis ke kaif se aankhon mein meri nind aati hai sukut aur shanti ke har qadam par phul barsati asir-e-kakul-e-shab-gun bana kar muskuraati hai meri aankhon mein ghul jati hai wo kaif-e-nazar ban kar mujhe qaus-e-quzah ki chhanw mein pahron sulati hai sahar tak wo mujhe chimtae rakhti hai kaleje se dabe panw kiran khurshid ki aa kar jagati hai