ek pal mein khatm ho sakti hai wusat dahr ki chotiyon se chotiyon tak rasta aage khala aur khala ki tirgi mein dur se aai hui kirnon ke rangon ki numud aasman ke panw par mahtab o anjum ke sujud aur zamin ki raunaqon ka wahm fikr-e-raft-o-ud bun diye kis ne ye tar-o-pud kis ke hath mein aaya nizam-e-kaenat kis ke zarre ban gae duniya sitare aaftab kis ne aawara-khayali ko pilai fikr-e-shirin ki sharab kis ne ye sab kuchh banaya aur khud tarik pardon mein kahin baitha raha kya ye sab phailaw mere waste hain ya main khud us ki purani ruh mein baitha hua gin raha hun us ke ashkon ki qatar ponchhta hun us ke aansu mangta hun us se bhik (chahta hun ruh ki khatir sukun) wo to khud is khair-o-shar ke jal mein uljha hua dard se betab takhliq-e-aziyyat se nidhaal chikh kar kahta hai mujh ko mar dal