kali, jagmagati, nirali raaten ras bhari, madmati raaten raat ki rani khushbu se bhari taron ki maddham nurani chhanw mein halki thandi raaten baisakhi hawaon sarangi ki lambi alkaski siskiyon pyar ke raazon se bojhal kahani raaten kahan kho gain hain ya-rab? kho jaen to phir kho jaen lekin wo man-mohak ghadiyan khun mein jaise ghul si gai hain wo ladkhadate, adhure, na-mukammal jumle ab bhi saf sunai dete hain abaruon palkon mathe ki shiknon ke banke tirchhe pal pal badalte zawie jo kya kya kuchh kahte the dikhai dete hain wo nit-nai anokhi be-intiha khushiyan maujud bhi hain zinda bhi lekin dard-o-alam ki maujen ban kar dil ke goshe goshe mein phail gai hain ye to suna hai zahr kabhi amrit ban jata hai lekin jab amrit khud zahrila ho jae phir aakhir koi kaise jiye?