jab ek suraj ghurub hota hai kam-nazar log ye samajhte hain ab andhera zamin ki taqdir ho gaya hai zamana zanjir ho gaya hai unhen khabar kya ki mehr-o-mah-o-nujum sare to raushni ke hain istiare tulua ka dil-faroz manzar ghurub ka dil-shikan nazara azal se us raushni ka partaw hai jo musalsal safar ke aalam mein har makan la-makan ko apne jilau mein le kar rawan-dawan hai ye raat aur din har ek zahir har ek baatin har ek mumkin usi tasalsul ka zer-o-bam hai nigar-e-fitrat ka husn-e-ram hai ufuq ufuq par yahi raqam hai ki jo adam hai wo zindagi ka naya janam hai