ye sar-zamin-e-watan

ye sar-zamin-e-watan ye dayar-e-ahal-e-nazar
ye sar-zamin-e-watan jalwa-gah-e-zat-o-sifat

ye sar-zamin-e-watan aabru-e-alam-e-khak
ye sar-zamin-e-watan gulshan-e-bahaar-e-hayat

ye sar-zamin-e-watan ye dayar-e-ahl-e-nazar
jabin pe jis ki riwayat ki hai tabani

ragon mein jis ki rawan hai lahu shahidon ka
ki jis pe karte hain shams-o-qamar gul-afshani

ye sar-zamin-e-kitab-e-hayat jis ko kahen
kitab hi nahin tarikh hai maishat ki

ashok-o-akbar-o-chishti-o-nanak-o-gandhi
har ek waraq hai nai dastan mohabbat ki

zaban pe bare khudaya ye kis ka nam aaya
ki bose nutq ne badh kar meri zaban ke liye

jadid hind ki qismat banai gandhi ne
nawed-e-amn wo laya tha kul-jahan ke liye

sawal nasl ke hon ya zaban-o-mazhab ke
sawal sanat-o-hirfat ke ya maishat ke

har ek sawal ka pur-amn hal talash kiya
sawal ghar ke hon ya aalami siyasat ke

usi ke naqsh-e-qadam hain ki jin pe chal kar hum
nai bahaar ki manzil talash karte hain

usi ka faiz-e-nazar hai ki jis ke bal par hum
sukun-e-zist ka sahil talash karte hain

ye sar-zamin abhi aur bhi hasin hogi
saja rahe hain use zindagi ke diwane

ye sar-zamin-e-watan ye dayar-e-ahl-e-nazar
likhenge ahl-e-junun is ke kitne afsane


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close