aao bachcho samne baitho qissa ek sunaun tum ko jangal mein ek bhuk ka mara lakdi lane gaya bechaara jangal mein thi naddi gahri gir gai bechaare ki kulhadi kya karun dil mein soch raha tha itne mein ek aadmi aaya kahne laga kyun tum ho fasurda kuchh to batao kya hai sadma bola wo main kya kahun bhai main ne kulhadi apni ganwai is naddi hi mein wo padi hai haalat meri aah buri hai naddi mein tab kud gaya wo kaisa bahadur insan tha wo mil gai naddi mein wo kulhadi ghota mara aur nikali dekha to wo sone ki thi puchha kya hai yahi tumhaari bola ye nahin meri bhai dupki us ne aur lagai ab lohe ki us ne nikali phir puchha kya ye hai tumhaari dekh ke ye khush ho gaya us ko aur kaha han yahi thi dekho le kar khush-khush ghar ko sidhaara kitna sachcha tha bechaara dekh ke sone ki wo kulhadi us ki niyyat zara na badli ji mein agar lalach kuchh hota sone ki hargiz na wo khota bura hai lalach sach hai achchha 'jauhar' ka bhi yahi hai kahna