hain jasodha ke liye zinat-e-aghosh kahin gopiyon ke bhi tasawwur se hain ru-posh kahin dwarka-ji ka basana to mubarak lekin kar na den brij ki galiyon ko faramosh kahin kha ke tandul kahin eazaz sudama ko diya sag khush ho ke 'bidur-ji' ka kiya nosh kahin khud bachan de ke 'jara' sindh se ran mein bhage rahe bad-goi-e-shishupal pe khamosh kahin dwarka-dhish kahin ban ke mukut sar pe rakha kali kamli rahi jangal mein sar-e-dosh kahin gopiyan sun ke murliya huin aisi betab gir gae haar kahin rah gai pa-posh kahin madh-bhare nain se aankhen na milao 'kaifi' log mashhur na kar den tumhein mai-nosh kahin