wada kya kisi baat ke paband nahin hain budhe hain na jazbaat ke paband nahin hain khwabon mein nikal jate hain arman hamare hum din mein mulaqat ke paband nahin hain be-wajh bhi aankhon mein umad aate hain aksar sailab jo barsat ke paband nahin hain haalat ki gardish rahi paband hamari hum gardish-e-haalat ke paband nahin hain jab waqt ke paband nahin aap to hum bhi pabandi-e-auqat ke paband nahin hain hum rind-e-kharabaat hain jo chahe piyenge saqi ki hidayat ke paband nahin hain zanjir liye panw mein phirte hain sar-e-rah diwane hawalat ke paband nahin hain hakim ne kaha hai ki wahi hukm ko talen jo marg-e-mufajat ke paband nahin hain mafhum shab-e-wasl ka samjhaya to bole hum aisi kisi raat ke paband nahin hain ye daur taraqqi ka hai hum sharm-o-haya ki farsuda riwayat ke paband nahin hain hum 'khwah-makhwah' paband hain aate hue pal ke guzre hue lamhat ke paband nahin hain