na jaane kya mila kya hasraten baqi rahin dil mein abhi duniya se kya kuchh aur lena hai mujhe to ye khabar hai ye dahakti aag sab kuchh khak kar degi faqat mera nishan uthta dhuan chaaron-taraf rishton pe maili rakh chhidkata ye tezabi rag-o-pai mein panapta zahar maghrurana be-zari nigah-dari ki diwaren khadi karti ye sab us aag mein kyun jal nahin jate abhi duniya se kya kuchh mangna hai kya jhapatna hai main sail hun lutera hun hui hai maskh yun surat ki pahchani nahin jati main kab tak jhonkta jaunga ye tanur lahki aag se kab nur phutega koi nannhi kiran dhimi si lau mujh se kahen to chandni phaile main kab duniya ko lautaunga us ke pyar ke tohfe