badan mein mithe mithe dard ki khushbu basi hai thakan chadar bani lipti hui hai sunahri shahd jaisi nind palkon ko baham jode hue khwabon ke jhule mein abhi kuchh aur pengen chahti hai nim-tariki khinche pardon se lag kar unghti hai kiran dahliz par thahri hui hai mulaem sa ujala zid mein aa kar khidkiyon par dastaken deta chala jata hai khat khat khat utho ki zindagi ki razm-gahen muntazir hain razm-gahen jin mein dil mazbut kar ke kud padna hai kai jihton mein ladna hai sabhi apni baqa ki jang mein masruf hain aaram-o-itminan kaisa baqa ki jang mein ghaflat ki gunjaish nahin hai hamari zindagi mein nind aur khwabon ki aasaish nahin hai