halqa-e-fikr-o-sukhan ne mujhe izzat bakhshi yani mehman khususi ki fazilat bakhshi masnad-e-ali pe la kar jo bithaya mujh ko qad-e-kotah ko is taur se rifat bakhshi faeda ye bhi hua aaj ki is mahfil mein ek duje se mulaqat ki surat bakhshi qabil-e-izzat-o-takrim khwatin bhi hain un ke hone ne meri ruh ko farhat bakhshi pura diwan hi mausuf suna baithe hain jin ko halqe ne yahan aaj nizamat bakhshi tis battis se na the kam yahan shair imshab sab ko sunne ki khuda ne mujhe himmat bakhshi kuchh tarannum se sunane pe musir the ghazlen tahat mein kuchh ne sunaen ye riayat bakhshi didani shair-o-same' ki hai surat is dam bhuk ne sare hi chehron ko naqahat bakhshi sadr-e-mahfil ka hun mamnun ki is mahfil mein baat apni bhi kahun mujh ko ijazat bakhshi hum ne mana ka abhi aap ko bhi sunna hai masnad-e-ali ko hazrat ne jo zinat bakhshi aap tashrif yahan lae yahi kafi hai kis qadar aap ne hum sab ko hai izzat bakhshi khana khulne ka hi elan agar farma den hum ye samjhenge ki taqrir-e-sadarat bakhshi