sina-e-khwab khule jis tarah pyar mein dubi hui aankhon pe larazti hui palkon ka nasha khulta hai jis tarah band kitabon pe kisi phul ke khulne ka guman khulta hai jis tarah hath ki poron pe kabhi pahle pahle se kisi tajraba-e-lams-e-mohabbat ka asar khulta hai sina-e-khwab khule sina-e-khwab khule aur mein dekhun wo kam-asar jawani ka khumar wahi hairat jise main ne faqat ek sans ki dori mein piro lene ki khwahish ki thi wo tazabzub ki jise kam-sin-o-kam-khwab' nigahon ke bharose ne gulab aur chameli ki mahak bakhshi thi murtaish honton pe mauhum tabassum ka wo ehsas jise harf-o-awaz baghair kaba-e-dil ne tere chehra-e-gulfam pe mabus kiya aur phir meri nigahon ki taraf tere aaghaz ko bedar kiya ai sukhan-saz nigahon wale waqt ne umr-e-guzishta ke kai bab likhe aur har bab ki dahliz kisi khwab-e-muqaffal ki tarah gum-sum hai koi dastak koi aawaz koi harf-e-saba koi tadbir ki is lamha-e-maujud ke mar jaane se pahle pahle kash is khwab-e-muqaffal ka bhi sina khul jae aur main dekh sakun tere mauhum tabassum ki kahani ka hawala kya tha aur ab mujh se gunahgar-e-mohabbat ki tabahi ka izala kya hai