mera dil ek nanha sa qafas hai yun to is mein chaar khane hain lahu mein tar bahut se shakhsane hain fasane hain khazane hain yahan rangin parindon ki tarah nazuk bahut se lafz qaidi hain nidhaal afsurda pazhmurda magar ab bhi rukh-e-qirtas ki tazin-o-araish samaat ki fazaon mein bikhar jaane ki khwahish zindagi ki dastakon mein tilmilati hai udas aankhon se kahti hai ki hum ko maslahat ki qaid se aakhir rihai kab milegi