ahinsa ki shamshir chamki isi din ghulami ki zanjir tuti isi din gulistan ki taqdir badli isi din utho aaj khushiyon ke hum git gaen chalo apni dharti ko dulhan banaen khule kaise kaise bharam dushmanon ke rahe phir na baqi sitam dushmanon ke mite is zamin se qadam dushmanon ke utho aaj khushiyon ke hum git gaen chalo apni dharti ko dulhan banaen isi din ki khatir bade gham uthae zamin aasman ke qulabe milae zara bhi na apne qadam dagmagae utho aaj khushiyon ke hum git gaen chalo apni dharti ko dulhan banaen ye wo din hai hum jis ki barakat ko samjhen yahi din hai wo jis ki qimat ko samjhen yahi din hai wo jis ki azmat ko samjhen utho aaj khushiyon ke hum git gaen chalo apni dharti ko dulhan banaen tirange ko hum aur uncha utha den charaghon se har baam-o-dar ko saja den zamane ko ye sarkhushi bhi dikha den utho aaj khushiyon ke hum git gaen chalo apni dharti ko dulhan banaen