qaumi jhanDa

janta ka arman hai jhanda
aazadi ki jaan hai jhanda

bhaarat ki pahchan hai jhanda
is ki azmat ke gun gao

aur bhi is ki shan badhao
is se jitne rang ayan hain

sab apni manzil ke nishan hain
is mein kitne raaz nihan hain

is ki azmat ke gun gao
aur bhi is ki shan badhao

jhanda hi tauqir-e-watan hai
jhanda hi taswir-e-watan hai

jhanda hi taqdir-e-watan hai
is ki azmat ke gun gao

aur bhi is ki shan badhao
is ki lahren aankh ka til hain

ye sagar hai hum sahil hain
is par qurban jaan-o-dil hain

is ki azmat ke gun gao
aur bhi is ki shan badhao


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close