main dastanon mein kho gaya hun jahan pe har aankh be-murawwat jahan pe har shakl ajnabi hai jahan andheron mein be-niyazi jahan ujalon mein be-rukhi hai jahan shab-o-roz ka tasalsul junun ko zanjir ho gaya hai jahan har ek saz ka tarannum jahan har ek dil hai zakhm-khurda har ek ummid sar-ba-zanu har ek ehsas zard-ru hai na ab mere hath mein qalam hai na ab mere lab pe muddaa hai na aarzu hai na kuchh taqaza na koi shikwa na koi gham hai na dard-e-dil hai na chashm-e-nam hai ye kaisi duniya mein qaid hun main ye kin zamanon mein kho gaya hun mere rafiqo mujhe bachao talash karke kahin se lao wo meri duniya haqiqaton ki wo meri duniya sadaqaton ki wo meri yaadon ki shokh duniya jo aab kahin aur bas rahi hai use sada do use bulao ki main fasanon mein kho gaya hun main waqt ki raat ka musafir main gor-e-ehsas ka mujawir guzishta lamhon shikasta chehron bujhe makanon mein kho gaya hun koi mujhe dhundne to aae koi mera khoj to lagae wajud ke wahimon se pichhe adam ke sahra-e-be-nishan mein mere takhayyul ke zard paikar jo shahr takhliq kar chuke hain unhen sanware unhen basae mohabbaton se ibaadaton se charagh aankhon ki raushni se mere sitaron ko jagmagae meri zaminon ko nur bakhshe hazar-ha chand aur suraj meri jabin par bujhe hue hain khada hun patal par azal ke main aasmanon mein kho gaya hun na main kisi lab pe jhilmilaya na main kisi gosh hi mein utra na safha-e-sada ki jabin par kisi ne muddat se mujh ko likkha na mere mani na koi surat na kahne wale se koi rishta na sunne wale se koi nisbat hun ek harf-e-qadim goya nai zabanon mein kho gaya hun ye meri yaadon ke sard sae ye mere khwabon ke zard chehre rafaqaton ke nahif bazu adawaton ke shikasta khanjar guzishta ranaiyon ke paikar purani rahen purane manzar main jin bahanon se ji raha tha unhi bahanon mein kho gaya hun main dastanon mein kho gaya hun