aaj phir dasht-e-wafa mein teri yaadon ke sarab mujh ko bhatkae chale jate hain aur is dasht mein main yunhi akela chup-chap ret par dhundhta rahta hun na-jaane kya kya teri khushbu tere khad tere qadam tera khayal jaane kya dhundhta rahta hun musalsal meri jaan daera-war bagule se meri aankhon mein aise phirte hain ki har samt teri yaad ki khak chaar-su phail ke har shai ko chhupa leti hai teri khushbu tere khad tere qadam tera khayal khak har shai ko chhupa leti hai mauja-e-did ko nadida bana deti hai waqt-e-maujud ko mahdud sa kar deti hai lekin aise mein meri jaan tere hijr ka lams mujh ko an-dekhi mohabbat ka yaqin deta hai panw mein chubhte hue ret ke zarre us dam dur-uftada manazil ka pata dete hain phir jhulasta hua suraj bhi sukun deta hai ku-ba-ku phailta jata hai hisar-e-man-o-tu rauzan-e-hijr se manzil ka pata milta hai