tere shahr ki sard galiyon ki aahat mere khun mein sarsarai main chaunka yahan kaun hai main pukara magar dur khali sadak par kahin raat ke dubte pahar ki khamushi chal padi rat-jagon ki thakawat mein dubi hui aankh se khwab nikla koi ladkhadata hua raat ke sard aangan mein girta hua khali shakhon mein atke hue chand ki aankh se ek aansu gira aur sine mein gum ho gaya dhund ki narm poren masamon mein chalne lagin do taraf istada darakhton ke niche bahe aansuon ki mahak mein mujhe nind aane lagi