kahani ke sare parinde bahut dur shayad ufuq mein kahin munjamid ho gae hain shajar zard patton ki taswir ban kar alamat ki tahrir ban kar bikharne laga hai kisi jhil ke aaine mein wo mah-wash badan ke kisi zawiye se nikalne ki khwahish mein palken uthae hue dekhti rah gai hai parindon ki manind main bhi yahan tha magar ab nahin hun ki hone ki khwahish ne shayad mujhe bhi khala mein muallaq sitaron ki manind gum kar diya hai na ab mausamon ke sitam hain na ab raat ki sard aamezishon mein thithurne ki rahat hi aawaz dete hain mujh ko na patthar ki manind hathon mein suraj rag-o-pai mein mere lahu ki hararat banega zamana koi shobada-gar mujhe dur hi dur le ja raha hai ki main nim-wa ghaar ki sidhiyon mein utarne laga hun charagh-e-tilismat milne se pahle zamin ne mujhe apni aaghosh mein le liya hai dua bad-dua ban gai hai ki har lafz ke daere se lahu ris raha hai kisi sanehe ne zamin se falak ki taraf jate jate mujhe bhi sitaron mein gum kar diya hai ki main apne sae ki dahliz par lazzat-e-ashnai mein khoya hua ajnabi hun