main ek masum shahri tha sharafat se sabhi ke sath rahta tha mohazzab taur se jita tha sab ke kaam aata tha kabhi main ne kisi ka dil nahin toda kisi ka sar nahin phoda kisi tarkash se koi tir kya tinka nahin chhoda kisi ki pith mein khanjar nahin bhonka kisi ke jism par barud ka gola nahin phenka kisi ko aag mein main ne nahin jhonka kisi ka haq nahin mara kisi ka zar nahin luta koi khirman nahin phunka kisi building kisi gadi kisi mahfil mein koi bam nahin rakkha mere hathon kisi ka ghar nahin ujda kisi ka dar nahin ukhda koi kumba nahin bikhra koi matha nahin sikuda kisi ki rah mein roda nahin atka kisi ke kaam mein main ne kabhi rakhna nahin dala kisi ke waste dil mein kabhi kina nahin pala koi farman hakim ka kabhi main ne nahin tala koi ghera nahin langha koi aangan nahin phanda magar phir bhi qayamat mujh pe tuti hai ajab ghaarat-gari ka qahr barsa hai ajab saffak khanjar dil mein utra hai ki meri ruh ab tak tilmilati hai ki mera zehn ab bhi jhunjhunata hai ki meri sans ab bhi ladkhadati hai samajh mein kuchh nahin aata ki main ne kya bigada hai mere kis jurm ki mujh ko mili hai ye saza aakhir ye gutthi kis tarah kholun sabab kis se yahan puchhun kidhar jaun kise rokun sabhi chehre yahan patthar sabhi aankhen yahan patthar basarat mein bhara patthar samaat mein basa patthar zabanon mein gada patthar adalat mein khada patthar har ek qanun mein patthar har ek aain mein patthar har ek insaf mein patthar har ek aawaz mein patthar har ek ehsas mein patthar ye patthar yug ke patthar se bhi bhaari hai nagine ki tarah tarsha hua hai aur hire ki ani ki tarah us ki tez noken hain bahut shaffaf hai ye aur is mein ek tamaddun hai main is patthar se sar phodun ki apni zindagi chhodun ki apna rasta modun ki ban jaun main khud patthar samajh mein kuchh nahin aata