raushni kam hai na kar us ki shikayat hamdam raushni kam hi rahe to achchha shadmani-o-khushi ke hamrah ek na ek gham bhi rahe to achchha dasht-o-sahra ho ki bagh-e-dabistan sath-e-dariya ho ki chatyal maidan raat har chiz pe hai saya-nishan raushni kam hai andhera hi ziyaada hai yahan shah-rahon ke nazaron pe na ja qumqumon ki nazar-afroz qataron pe na ja kyunki ek chashm-e-basirat ke liye jo bhi hai pesh-e-nazar chashmak-e-barq hai ya raqs-e-sharar aa zara mod idhar ko bhi nigahen apni tira-o-tar hai kitni ye gali timtimati hai jahan khambe par ek maili si shikasta chimni jis tarah naza mein koi bimar kab talak raushni phailaegi ye subh se pahle hi bujh jaegi ye aur phir ek ghata-top andhera hoga is andhere hi mein bas us ka sawera hoga aa ki hum ab dil-e-insan bhi tatolen chal kar band hain ye jo dariche unhen kholen chal kar ek ya do ke siwa sab hain siyahi se bhare jaise patte shajar-e-khushk mein do-chaar hare tira-o-tar hai kis darja zamir-e-insan raushni is mein kahan raushni kam hai andhera hi ziyaada hai yahan