hum teri subhon ki os mein bhigi aankhon ke sath dinon ki is basti ko dekhte hain hum tere khush-ilhan parinde har jaanib teri munderen khojte hain hum nikle the tere mathe ke liye bosa dhundne hum aaenge bojhal qadmon ke sath tere tarik hujron mein phirne ke liye tere sine par apni uktahaton ke phul bichhane sar-phiri hawa ke sath tere khali chaubaron mein phirne ke liye tere sehnon se uthte dhuen ko apni aankhon mein bharne tere ujle bachchon ki maili aastinon se apne aansu ponchhne teri kai zada diwaron se lipat jaane ke liye hum aaenge nind aur bachpan ki khushbu mein soi hui teri raaton ki chhat par ujli chaarpaiyan bichhane motiye ke phulon se pare apni chikhti tanhaiyan uthane hum lautenge teri jaanib aur dekhenge teri budhi inton ko umron ke rat-jagon se dukhti aankhon ke sath unche niche makanon mein ghire guzishta ke gadhe mein ek bar phir girne ke liye lambi tan kar sone ke liye hum aaenge tere mazafat mein mitti hone ke liye