sharab-khana hai bazm-e-hasti har ek hai mahw-e-aish-o-masti maal-bini o mai-parasti are ye zillat are ye pasti shiar-e-rindana kar piye ja agar koi tujh ko tokta hai sharab pine se rokta hai samajh ise hosh mein nahin hai khirad ke aaghosh mein nahin hai tu is se jhagda na kar piye ja khayal-e-roz-e-hisab kaisa sawab kaisa azab kaisa bahisht o dozakh ke ye fasane khuda ki baaten khuda hi jaane fuzul socha na kar piye ja nahin jahan mein mudam rahna to kis liye tishna-kaam rahna utha utha han utha subu ko tamam duniya ki hao hu ko ghariq-e-paimana kar piye ja kisi se takrar kya zarurat fuzul israr kya zarurat koi piye to use pila de agar na mane to muskura de malal-e-asla na kar piye ja tujhe samajhte hain ahl-e-duniya kharab khasta zalil ruswa nahin ayan un pe haal tera koi nahin ham-khayal tera kisi ki parwa na kar piye ja ye tujh par aawaze kasne wale tamam hain mere dekhe bhaale nahin mazaq un ko mai-kashi ka ye khun pite hain aadmi ka tu un ka shikwa na kar piye ja