raqqasa

utthi hai maghrib se ghata
pine ka mausam aa gaya

hai raqs mein ek mah-laqa
nazuk ada naz-afrin

han nachti ja gae ja
nazron se dil barmae ja

tadpae ja tadpae ja
o dushman-e-duniya-o-din!

tera thirakna khub hai
teri adaen dil-nashin

lekin thahar tu kaun hai
o nim-uryan naznin

kya mashriqi aurat hai tu
hargiz nahin hargiz nahin

teri hansi bebak hai
teri nazar chaalak hai

uff kis qadar dil-soz hai
taqrir bazari teri

kitni hawas-amoz hai
ye sada purkari teri

sharm aur izzat waliyan
hoti hain iffat waliyan

wo husn ki shahzadiyan
parde ki hain aabaadiyan

chashm-e-falak ne aaj tak
dekhi nahin un ki jhalak

sarmaya-e-sharm-o-haya
zewar hai un ke husn ka

shauhar ke dukh sahti hain wo
munh se nahin kahti hain wo

kab samne aati hain wo
ghairat se kat jati hain wo

eazaz-e-millat un se hai
nam-e-sharafat un se hai

iman par qaem hain wo
pakiza-o-saem hain wo

tujh mein nahin sharm-o-haya
tujh mein nahin mehr-o-wafa

sach sach bata tu kaun hai
o be-haya tu kaun hai

ehsas-e-izzat kyun nahin
sharm aur ghairat kyun nahin

ye pur-fusun ghamze tere
na-mahramon ke samne

hat samne se dur ho
mardud ho maqhur ho

taqdir ki heti hai tu
shaitan ki beti hai tu

jis qaum ki aurat hai tu
us qaum par lanat hai tu

lekin thahar jaana zara
teri nahin koi khata

mardon mein ghairat hi nahin
qaumi hamiyat hi nahin

wo millat-e-baiza ki thi
sare jahan ki raushni

jamiyyat-e-islamiyan
shahanshah-e-hindostan

ab is mein dam kuchh bhi nahin
hum kya hain hum kuchh bhi nahin

milli siyasat uth gai
bazu ki taqat uth gai

shan-e-hijazi ab kahan
wo turktazi ab kahan

ab ghaznawi himmat gai
ab babari shaukat gai

iman aalamgir ka
muslim ke dil se uth gaya

qaum ab jafa-pesha hui
izzat gada-pesha hui

ab rang hi kuchh aur hai
be-ghairati ka daur hai

ye qaum ab mitne ko hai
ye nard ab pitne ko hai

afsos ye hindostan!
ye gulshan-e-jannat-nishan!

iman-daron ka watan
taat-guzaron ka watan

rah jaega virana phir
ban jaega but-khana phir

lekin mujhe kya khabt hai
taqrir kyun be-rabt hai

aisa bahak jata hun main
munh aai bak jata hun main

itna sharabi ho gaya
aql-o-khirad ko kho gaya

mujh ko zamane se gharaz
mitne mitane se gharaz

hindostan se kaam kya
andesha-e-anjam kya

jine do jine do mujhe
pine do pine do mujhe

jab hashr ka din aaega
us waqt dekha jaega

han nachti ja gae ja
nazron se dil barmae ja

tadpae ja tadpae ja
o dushman-e-duniya-o-din


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close