ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi prit ke pakke rang se jis ne rang di man ki choli sakhi darpan se jab nain mile to rah gai main bhi dang prit se us ki aur hua tha sundar mukh ka rang sakhiyon ne jab bhed ye puchha laj se kuchh na boli sakhi ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi mang mein meri us ne bhara tha jis dam lal gulal sharm se us dam aur hue the mere gulabi gal us ne tab mere honton par pyar ki madira kholi sakhi ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi chhod gaya wo jab se mujh ko us ki yaad satae mujh birhan ka us bin kya hai haal kaha na jae itni der rahi main sukh se jitni der ko so li sakhi ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi yaad kare hai us ko mere dil ki ek ek dhadkan pairon mein to pael tadpe aur hathon mein kangan dhundne us ko main sapne mein nagri-nagri doli sakhi ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi aisi abhagan hun main jis ko prit na aai ras chita ki bhanti mujh ko jalae piya milan ki aas bhed mera mat kahna kisi se dekh meri ai bholi sakhi ab ke baras phagun mein kisi se aisi kheli holi sakhi