aao hum jashn manaen ki ye dharti apni ye jahan-dida mu'ammar dharti is ki zulfon ki siyahi mein badha ek aur tar-e-safed jhurriyan chehre ki hairani nigahon mein samoe dekhen tez-rau qadmon se badhti hui ek aur shikan jaise bichhdi ho kisi mele mein dil ki shiryanon mein surkhi ki jagah zardi hai raushni-rang ke tufan mein fursat kis ko koi puchhe us se dil ki raftar hui jati hai dhimi kyunkar us ke sine mein hain madfun dukhon ke ambar apni hi kokh se janme in zamin-zadon ke qahqahe khokhle sun sun ke phata jata hai dil dharti ka aur wo sochti hai kho gae kyon wo shab-o-roz mere meri bahon mein humakte the wo tifl-e-masum jin ke honton pe tabassum ke tilai sikke aur aankhon mein thin khwabon ki rupahli kirnen dil ke goshon mein umangon ki dhanak phaili thi aur ab haal ye hai un ke honton pe khanakte hue sikke ja’li khushbuen tez magar rang jhute raat ke pichhle pahar chikhte hain ruh se 'ari hain pinjar un ke khauf anhoni ka bechain kiye rahta hai bad-nazar koi lagi kha gai khushiyan un ki mere khaliq meri takwin ke mahir fankar is nae sal mein wapas kar de un ki aankhon ki chamak hire si un ke honton ki hansi moti si