jab sal-e-rawan dhum machata hua aa jae aansu se munawwar yahan har gosha nazar aae aamad pe nae sal ki jab kahkashan bujh jae aise mein har aahat pe ye lagta hai ki tum aae sumbul ki lachakti hui zulfon se kare chhed jhonka koi aamada shararat pe nazar aae ya baad-e-saba phul ke rukhsaron ko chhu jae aise mein har aahat pe ye lagta hai ki tum aae mahtab ka chehra kisi chilman ki liye ot raushan kabhi maddham kabhi jab khel mein lag jae jab nila gagan aarti taron se saja lae aise mein har aahat pe ye lagta hai ki tum aae sahil ke labon ko kabhi chhune ke liye aae chanchal si koi lahr jo aaghosh mein kho jae sanson ki hararat agar sanson mein sama jae aise mein har aahat pe ye lagta hai ki tum aae jab chand ki jaanib kare parwaz chakori ya koi papiha pihu-pihu kahin chillae jab chandni lahron pe kabhi dip jala jae aise mein har aahat pe ye lagta hai ki tum aae tanhai mein yaaden kabhi jab dhundhti aaen wo shamen jo ab palken bhigoti hui jaen baraat gae lamhon ki jab raat mein aa jae aise mein har aahat pe ye lagta hai ki tum aae