zindagi 'sadiya' ke sath khile dam-ba-dam yam-ba-yam hayat khile mahw ho jae sab guman-e-nafi us ke chehre pe jab sabaat khile lams se us ke nanhe hathon ke ghuncha-e-inkishaf-e-zat khile sip honton mein motiyon ki qatar jab khile gauhar-e-sifat khile muskurae to rau mein aae hayat khilkhila de to kaenat khile us ki shaffaf nind mithe khwab ghar mein taron bhari si raat khile subh jab aankh mein kiran jage dur tak sabza-e-hayat khile wo jawan ho to shaeri nikhre ek ghazal 'sadiya' ke sath khile