sab mein shamil hai lab-e-sahil pe ujle sang-rezo ka wajud jagmagati si jabinon se ye andaza bhi kar sakte hain wo mutmain se hain magar tishnagi ka karb honton se bayan hota nahin aati jati mauj-e-dariya ye samajhti hai hamesha sang-reze bhi hain us se faiz-yab jab bhi chhuti sang-rezo se rida-e-ehtiyat un ki saf par dhup ka hamla hua tishnagi ka majra ruswa hua