dilon mein dard dimaghon mein kashmakash ka dhuan jabin pe khak nigahon mein gham ki tariki fareb khae hain hum ne fareb khate hain fareb de na sake hum magar zamane ko hamein to fikr yahi hai ki kaun aaega hamare baad lahu ke diye jalane ko wo zindagi jo sabhi ko aziz hoti hai hum ahl-e-gham ke na yun pas aa sakegi kabhi qadam qadam pe jinhen justuju ho chahat ki unhen rafiq na duniya bana sakegi kabhi khala mein dhund rahe hain hum ek masiha ko hatheliyon pe aqidat ke aaftab liye shuur-o-hosh ki duniya hai ek muddat se nazar nazar mein nai raushni ke khwab liye wasia dasht-e-tamanna ke surkh sine par sulagte dard ka aanchal na sard hoga kabhi charagh-e-umr bujhana to khair mumkin hai charagh-e-jehd musalsal na sard hoga kabhi dhuan ugalte andheron mein raushni bhar den ragon mein khun ki gardish ko tez-tar kar den